Kuch aisi hai mere pyaar ki ye dastan
Jaisi koi uljha sawal ya gumnaam rasta
Main to chla us raah per jahan manjil na thi
Dekha khwab us manjil ka jiski raah na thi
Phir tu aai jiski shyaad umeed bhi na thi
Tere bina jindgi shyad jindgi bhi na thi
teri yaad ko apni saanso main piroya hai
wo tu hi hai jise apne dil mai sanjoya hai
kahne ko to ankhe bheegi, bahut baar meri
bas tere liye mera dil apne dil se roya hai
lagta hai tu koi aur nhi bs meri parchhaai hai
meri yaado, khawbo mai bas tu hi smai hai
teri ankho main dikhti ek khubsurat gahraai hai
maine apne pyaar ki jannat inhi main banai hai
Mujhe nhi pta tujhse kitna pyaar karta hoon
Bas teri awaz sunne ka intezaar karta hoon
Subh teri hansi sunne ko bekraar rahta hoon
Aur phir shyaam hone ka intezaar karta hoon
Sota hoon to khawabo bhari neend teri hain
Jagta hoon to dil main har pal yaad teri hain
Jo muskuraata hoon to khushiyan teri hain
Jindgaani teri he ismain bas yaadain teri hain
Tum naraz ho to dil main dard sa hota he
Nahi bta sakta mera dil kitna rota he
Jaanta hoon sochegi aashiq ki jubaan he
Per meri jindgi tere honto ki muskaan he
Ye ankho main jo chamak ki ravani hai
Bas Yehi mere pyaar ki ek nishaani hai
aakhiri saans k baad jo yaad rah jayega
Meri ankho main bsa tera mukaam rah jayega
Do din ka nhi hai ye pyaar mera
Zindgi bhar ka hai ye karaar mera
Bas yehi aarzo hai ab mere man main
Aakhiri saans tak ho bas deedaar tera
Teri khushiyon k liye sadka har baar karta hoon
Tu muskurati rahe bas yahi phariyaad karta hoon
Teri rahoo k kaate bich jaaye meri raaho main
Teri raaho mai phoolo ki dua din raat karta hoon
No comments:
Post a Comment