Thursday, 1 September 2011

One Mischief......Mine Heart

main ni janta usne kya jaadu kiya
bas uski yaad ne mujhe jeene na diya
haal kuch yun ho gya hai meri aas ka
na khane ka hosh rha na hi apni pyaas ka

Aankh khulte hi jaise mera pahla khyaal hai vo
suraj k jaisi dil main jalti mashaal hai vo
hr khubsurat cherha pheeka hain mere liye
mere dil per chhaya kuch aisa sawal hai vo

din k hr pal main sochta hoon main jise
subh ho ya shyam ho chahta hoon main bs use
aarzo thi ki batau kitna pyaar hai tujse
aur tum kis tarah le gye sb kuch mera mujhse

log kahte hain chaand main mahboob nazar aata hai
main to apne mahboob ko hi apna chaand samjh liya
ab uske bagair raat choro mera din hi nhi hai dhalta
chaand chandini sitare ek chalva sa hai dikhta

mere dil main kuch is kadar hai pyaar ukse liye
jaanta hoon vo nhi paas mere aur duri milo k liye
phir bhi ek aisaas hota hai mere man main
vo yahin hai yahi kahin shyaad meri dhadkan main

bta deta main use apne pyaar ki sachhai ko
agar main naap sakta samunder ki garahai ko
agar main chu sakta aasmaan ki oochai ko
agar main jaan pata registaan ki tanhaai ko

use pta to tha per shyaad wo samjhe hi nhi
kar to liya ikraar per shyaad uljhe hi nhi
hamne koshish to bahut ki unka pyaar paane ki
Wo badlo ko samete rahe aur kabhi barse hi nhi

jahan per mujhe lga ki unka pyaar hoga jhalkta
pyaar paane k liye kuch sawal tha main poonchta
kuch k jawab dil se diye kuch mera mn rakhne k liye
aur kuch jawabo ko tanhai mai main rha dhoondta

mai yeh nhi kahta ki wo bhewfai kar k nikel gye
pyaar hai unhe bhi yeh shabd to unse bhi nikal gye
wo chun le gaye kisi aur ko yeh mai khata hi nhi
per jb waqt aaya to hamaara haat thama bhi nhi

dil aaj bhi taras rha hai us baarish k liye
mn aaj bhi karta hai use salam sajish k liye
dekhne ko badal mere paas hain barsne k liye
magar koi nhi jaanta ye nzara hai sadiyo k liye

No comments:

Post a Comment