Yeh hasi hai ek bhulave k liye.. hasti hain meri zindgi mere hasne k liye.. phir bhi main jinda hoon jine k liye. Mukurata hoon main kuch apno k liye..
Thursday, 1 September 2011
Meri Aarzoo
Bta rha hoon aarzoo Apni jo dil ne mere maangi hai
Bta rha hoon dil main mere kya tamnna jaagi hai
likha hain maine uske liye jo chaand mera bedaagi hai
Sun le wo aarzu meri jo dil ne mujhse maangi hai
Paana chahta hoon use jo dhadkn main basi hai meri
Duniya aur jaan se jyada pyaari dilruba hai wo meri
Bikhar jaana chahta hoon mai baahon main teri
Toot jaana chahta hoon mai panahon main teri
so jaana chahata hoon mai bas uske aagosh main
mil jaaye uska pyaar to ho jaau bheshoh main
wo bhi kabhi na aane paaye apne hosh main
dub jaau uske pyaar main aur ho jaau madhosh main
Use kuch is tarah pakdu ki phir kahin na jaane du
Uski ladkhahti saanso ko apni saanso main samane du
Wo kp kapaati awaaz main lena chahegi mera naam
Aur main uske hoto pe apna naam aane hi na du
Kaid karna chahta hoon mai us mukaan ko
Chumna chahata hoon main uski is pachaan ko
Wo dub jaaye pyaar main bhulkar apne imaan ko
Apna banana chahta hoon uske husn k guman ko
uski ankho main bas jaau mai kajal ki tarah
uske sharer ko chu lu mai badal ki tarah
wo mujhe odh le sunhere aachal ki tarah
jise pyaar karta hoon main ek pagal ki tarah
balkhaye wo meri bahon main nadiyon k jaise
khil jaaye wo meri bahon main sardiyon k jaise
simte jaaye wo meri bahon main baharon k jaise
main karu pyaar aur wo sharmaye titliyon k jaise
chu lu uske hoto ko apne hoto se har baar main
hta k uske sharm ki chadar karu uska dedaar main
uske roop ki chamak se ho jaau bekarar main
chu k uske naazuk badan ko karu use pyaar main
bikherna chahta hoon main uski julfo ki ghatao ko
phir suljhana chahta hoon main un ulji hui ltaao ko
na sambhalne du use pyaar k umdte hue umdao ko
aur mere suljhane k liye phir uljha de un ghatao ko
bas jaau mai kuch is tarah uski aawazo main
ki mahke mere naam uski garm saanso main
dhadkn ki rafthar wo sambhal bhi naa paye
mujhe pyaar karne k siva kuch use naa yaad aaye
apna bnana chahta hoon mai uski aakho ki tadap ko
apna bnana chahta hoon mai uski kamer ki lachak ko
apna bnana chahta hoon mai uske jumke ki dhamk ko
apna bnana chahta hoon mai uski bindiya ki chamak ko
yeh hai meri wo aarjoo jo mere dil ne mujhse maangi hain
yeh hai wo tammana jo dil main mere aaj jaagi hain
likha hain maine uske liye jo chaand mera bedaagi hai
Sharmaega wo sunakar yeh dua jo dil ne mere maangi hai
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Ishq ki khumari se, ishq ke ehsaas tak, tumne apna har ek pal sajaya hai,
ReplyDeleteSach kehte hai sabhi doobte mai tinke aur mohabbat mai shayari ka ki sahara hai,
Very well written,
Pushpraj